Wednesday, 6 February 2019

Kunde ke Niyaz ki Haqeeqat 2019||Hadis ki roshni me Kunde ke Niyaz ki Haqeeqat

https://islamicnelofarazhari.blogspot.com

💐Kunde ki niyaz 


Kunde ki niyaz hum q manate hai | Kunde ki niyaz ki kya haqiqat hai| kunde ki niyaz ki kya fazilat hai | ya fir kunde ki niyaz manana jaiz hai ya nahi is tarha ke hazaro sawal humare dimag me kunde ka mahina ate hi ghumne lagte hai in sabhi sawalo ka jawab insha allah apko is post me mil jaega.

💐Kunde ki niyaz kab manai jati hai

22 Rajjab ko Barre Sageer (Hindustan, Pakistan aur Bangladesh) me ek tyohaar manaya jaata hai, Jisey hum “Kunde ki Niyaj” ya “Kunde ki Eid” ke naam se jante hai. to aayiye iski sharayi hakikat kya hai janne ki koshish karte hai.
💐Darhakikat Kunde ki Eid ki shariyat me koi asal ya buniyad nahi hai, iss talluk se Imam Jafar Sadiq (Rahmatullahi Alaihi) ka wakiya bayan kiya jata hai ke inhe mansub ya inhi ke isale sawab ke liye Nazro Niyaz is din kiya jata hai.
Aayiye ab gour karte hai iski haqeeqat kya hai,  Kya wakay me Shairiyate Islmiya me Kundey ki kisi Eid ka tazkira paya jata hai ?

💐 Kunde ke Niyaz ki Shuruwat kaha se hui ?

22 Rajjab ko ek Shakhs ka inteqal hota hai, Abdullah Ibne Abbas (Razi’Allahu Anhu) khana kha rahe they, utney me unki Ghulaam/Baandi khabar lekar aati hai. wo khabar sunkar Aap khana chorrkar khadey ho jatey hai.


Khabar ye thi ke Sahabi-e-Rasool Ameer Muawiya (Razi’Allahu Anhu) ka inteqal ho gaya 22 Rajjab ko, Ameer Muawiya (Razi’Allahu Anhu) wo shakhsiyat thi jinhone Munafiqo aur Khwarijiyo par lohe ka hath rakha tha. Aapke Dour-e-Hukumat me ye log bebas ho gaye they. inki har Munafiqana harkato ko Ameer Muawiya (Razi’Allahu Anhu) ne naqam kar diya tha.

 यहां क्लिक करें
Lekin jaise hi Ameer Muawiya ka inteqal hua inn Munafiqo aur Kharijiyo me khushi ki lehar daud padti hai ke ab dushman marr gaya humara, aur khushi tou manani hai. Ab khushi manaye tou kaise manaye? hukumat ko pata chal jayega agar khushiya manyenge tou Jaahir si baat hai ke – wakt ka Khalifa inteqal kar gaya aur koi khushiya manaye tou uske Munafi hone me koi shuba hi nahi hogi.


Lihaja tay hua ke Khushiya khufiya manayi jayegi, Ahle Munafiq aur Khwarij apne apne logon ko bulao, khamoshi se saman lao, parde ki aad me wahi banao, aam bartano ke bajaye mitty ke bartano(Kundo) me mithaiya banao, wahi khaawo,.. wahi hath dho lo, bacha kucha khana wahi dafna do, taaki bahar musalmano ko pata na chale ke andar kis cheez ki khushiya manayi ja rah hai.


https://islamicnelofarazhari.blogspot.com



Aamaal Ka Dar O Madaar Niyyato Par He (Bukhari)Jo KONDEY Esaal e Sawab K Lye Karey Us K Lye JAZAAAur Jo Bugz Me Kare Usey SAZAAAgar Koi Shetani Wasawis Ka Shikaar Hokar 22 Ke Kondon Ko Rafziyo Se Mushabihat Kahe Aur Usey Na Jaaiz Samjey To Wo Kisi Aur Din Hi Karley


HALAAL Cheezen Na Khaney Walo Ko Tambeeh!!'Aur Tumhe Kya Hua He K Is Me Se Na Khao Jis Par ALLAH Ka Name Lya GayaHalaan Aamaal Ka Dar O Madaar Niyyato Par He (Bukhari)Jo KONDEY Esaal e Sawab K Lye Karey Us K Lye JAZAAAur Jo Bugz Me Kare Usey SAZAAAgar Koi Shetani Wasawis Ka Shikaar Hokar 22 Ke Kondon Ko Rafziyo Se Mushabihat Kahe Aur Usey Na Jaaiz Samjey To Wo Kisi Aur Din Hi Karley HALAAL Cheezen Na Khaney Walo Ko Tambeeh!!'Aur Tumhe Kya Hua He K Is Me Se Na Khao Jis Par ALLAH Ka Name Lya GayaHalaan Ke Wo Tum Par Tafseel Se BAYAN Kar Chuka He Jo Is Ne Tum Par HARAAM Farmaya'(Al-In'aam V#119) Aur Niyaz Par Jo FATIHA Dete Hen Wo Qur'an Se Hi He Ke Wo Tum Par Tafseel Se BAYAN Kar Chuka He Jo Is Ne Tum Par HARAAM Farmaya'(Al-In'aam V#119)
Aur Niyaz Par Jo FATIHA Dete Hen Wo Qur'an Se Hi He

          💐Muslim festival in 2019💐





Ye Niyaz Aam Awaam tak kaise pohchi ?

Ab ye chalan kaafi zamane tak kwhariji chalatey rahe, uske baad ab Sunniyo ko isme kaise shamil kiya jaye  iske liye Naya Akida diya gaya ke ye Niyaz IMAM JAFAR SADIQ  Rahmatullahi Alaihi) ki hai, Allah reham kare, jabki Imam Jafar Sadiq (Rahmatullahi Alaihi) ek tabeyeen me sse hai, aur kyunki aam awam hanfi hoti hai tou kaha gaya ke Imam Jafar Sadiq (Rahmatullahi Alaihi) Imam ABU HNiFA R.A.T.A ke ustaad hai, jabki unka milna aur sun’na sabit nahi

Aur fir Akide diye gaye ke jo ye Niyaz karta hai uska beda paar ho jata hai, wo kamiyab ho jata hai, uski Nayya paar ho jaati hai, iske liye India ke kisi Lakkad-Haare ka qissa bhi bayaan karte hai jo manghadat hai. fir bus lag gaye humare musalman bhai Kundey bharne. Allah reham kare.
Reference » Jawahirul Manaqib’ By Mustafa © www.Ummat-e-Nabi.com
» Tareekh-e-Islam (Shah Moeen-Ud-Din Nadvi) Safa Number 371
» Tareekh Ibn Khaldun Vol-2, Safa-60

Lamha-e-Fikr

Ab Sawal ye aaya ke chalo agar maan bhi le ke (Nauzubillah) Allah ke Alawa bhi kisi ke liye Nazro Niyaz karna jayaz hai tou Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke baad Ummat me sabse uncha maqaam tou Sahaba ka hai, Unkey Naam se tou kabhi hum koi Niyaj koi Eid nahi manatey. naahi unko mansub karne wala koi deen manane ka Shariyat ne hume hukm diya.
tou fir tabeyeen me se ek imaam ke liye khas taur par nazro niyaz karna ye kaha ka insaf hua, gour karne wali baat hai mere bhaiyo, koi aam baat nahi. Yaad rakhiye iss Kunde ki Eid ke Akide ka Shariyat-e-Islamiya me koi wajud hi nahi. iss Kundey ke Eid ki Shariyat me na koi fazilat paayi jaati hai na koi Ahqam,  hatta ke iss Eid ka koi Arbi naam bhi paya nahi jata.

Sahabi-e-Rasool ke Inteqaal par Munafiqo ne Khushiya manayi Yahi hai Iski Hakikat.


✦ Kundey ki Niyaz / Kunde ki Eid ek Sharayi Biddat:

Ye Niaz/Eid Shariyat me ek BiDAT  hai aur Biddat ke talluk se Rasullallah s.A.W. 
ne sakht wayeed ki apni ummat ko “ke Biddat mat karna iss deen me.
Aur Biddatiyo ka kya Anjaam hoga iske talluk se Surah Ghasiya ki ayat 3 aur 4 me Allah Ta’ala farmata hai –


Note :
1. Imam Jafar Sadique Ki Shahadat Ki Tareekh 15 Rajab Hai...!!!
2. Aur Hazraat Amire Muaviya Radiallahu Anhu k Wisal ki tarikh 22 Rajabul Murajjab Hai ,Shiyo (Rafzi) ko Inse Chidh hone ki wajah se Shiya 22 Ko kunde ki niyaz karte hai Aur Yahi Tarika Badqismati se Sunniyo k Yaha Raaej Ho Gaya...!!! Lehaza Sunni Musalmano se Ilteja hai k 15 Rajabul Murajjab ko kunde ki Niyaz Kiya kare




❝ Aamilatun Nasiba , Tasla Naran Hamiya❞

kuch log Qayamat ke roz tum dekhoge ke amal kar-kar ke thakey hue aayenge, lekin hukm hoga utha kar fenk do inhe Jahannum me
(Al-Quran; Surah Ghasiya 88:3-4)


Isliye kyunki wo amal wo akida Rasool’Allah (ﷺ) ke bataye hue deen se sabit na tha. tou lihaja hume chahiye ke aise mu’amlo me tehkik kare aur aise amal se bachey jo na Shareeyat se sabit ho aur na hi Sahaba ki zindagi me kabhi paya gaya ho.
Note: Agar iss Article par yakin karna mushkil hota hai tou baraye meharbani apne gharo me Urdu/Arbi Calendar ki tawarikh me dekh lijiye 22 Rajjab ki tareekh me kounsa din bayan kiya gaya hai.)




Sawal humare dimag me ata hai
Imam Jaffer Ka Wisal 15 Rajab Ko Hua To Phir 22 Rajab Ko Kondey Kyun..?
Jiska jajab ye hai.Esaal e Sawab Ke Lye Usi Din Hona Ye Shart Nahi
Balke Mahine, Saal Ya Zindagi Me Jab Chahen Kar Sakte Hen,
Aur Aam Mushahida He K AHLESUNNAT 22 RAJAB Ko Hi Nhe Balke Poore Saal Ehtmaam Karte Hn


Ek or sawal ata hai ke
RAJAB Ki 22 Ko Ameer Muawya Radiyallahu anhu ka Wisal Hua, Is Lye RAAFZI (Shia) Khushi Me Sheerni Pakatey Hen,
To Is Surat may 22 Rajab Ko Niyaz Taqseem Karna Kesa..?
Jiska jawab ye hai
Shari'at Ka Usool He Ke
K Kisi Achey Amal Ko Bad Mazhab Apna Len To Is Waja Se Usey Tark Nhe Kya Jaaye Ga Balke Koi Aisa Imtyaz Karna Hoga Jis Se Faraq Zaahir Ho
Jesey 10 Muharram Ka Roza Yahodi Rakhtey To Sarkar Ne 9 ya 11 Ke Roze Ki Talqin Bi Farmayi

NABI Halwey Aur Shehad Ko Mehboob Rakhtey"
"Ghee Ka Gundha Hua
PARATHA (Puri) Sarkar Ko Pasand..."
(Ibne Maaja)

"Musalman Ko MEETHA LUQMA
Khilane Par Hashr Ki Takleef Se MEHFOOZ..."
(Sharahus Sudoor)

Malum Hua Ke MEETHA Luqma Sarkar Ko Pasand
To UMMATI Hone Ke Natey Hame Bi Pasand Hona Chahye

22 Rajab* ko Hazrat ameer e mu'aavya Radi Allahu anhu ka will has he to shiya is Tarikh me Hazrat Ameer muaavya ke wisal  ki Khushi me Eid mandate he or Az raah fareb use Hazrat imam ja'afar Sadiq Radi Allahu anhu ki niyaz kahte he..

Fatawa faqihe millet me he ki image ja'afar Sadiq Radi Allahu anhu ki niyaz 15 Tarikh ko ki Jae q ke 15 Rajab AAP he wisal ka din he.
Or Alma e kiram ka khana ye Bhi he ki 22 Rajab joke sahabiye Rasool Hazrat ampere muaavya Radi Allahu anhu ki tarikhe wisal Bhi he to Kunde ki niyaz is 22 Rajab ko Karna Afzal he..
Jis me ahele Sunnat w jama'at ke aqide ke mutable in dono Hazrat like Naam se Fatiha delay jane or unki rooh ko sawab bakhsh game. like badly hame by swabs a mile..
Ha is me jo shiya log khurafate karate he or awam me jo jahilana harkate paai jati he use door Raha game.
Or ahele Sunnat w jama'at ke aqide ke mutabik niyaz w Fatiha Kiya game.




Kunde ki Niyaz ke Hawale se Jitna ho sake Thodi Jankari Dene Ki Koshish ki hai agar isme Koi Galti yakuti Ho Tu Bada Hi Karam Maaf kijiyega Kyunki Insaan se Galti Hui Jaati Hai our Allah Mujhe Maaf Kare agar koi Galti Allah tabarak Tala like Rasool Sallallahu Tala Al Salem ki Baat hui hadees main Mujhse hui ho to Allah Maaf Kare Allah Maaf Karne wali hai aur maafi manage Walo Ko Pasand Karta hai isliye AAP log Bhi Mujhe Maaf kijiyega agar koi galti ho to Inshallah next article mein Phir mileage tab take key Liye Allah Hafiz Dua Mein yard rakhiye ga Islamic Nilofer azhari



No comments:

Post a Comment