" ". Behtareen Biwi aur Behtareen Shohar ki Pehchan SHOHAR (HUSBAND) AUR BIWI (WIFE) KE HUQOOQ 2019 - Islamic nelofar azhari

Islamic nelofar azhari

2019 Islam Blog Best List. Find muslim blog, islamic websites, islamic sites, islam religion, islami blog, islamic history, islamic world and much more,google search ranking, quality & consistency of blog posts & Feedspot editorial teams review.

Islamic jankari

Tuesday, 1 January 2019

Behtareen Biwi aur Behtareen Shohar ki Pehchan SHOHAR (HUSBAND) AUR BIWI (WIFE) KE HUQOOQ 2019

Behtareen Biwi aur Behtareen Shohar ki Pehchan SHOHAR (HUSBAND) AUR BIWI (WIFE) KE HUQOOQ 2019

https://islamicnelofarazhari.blogspot.com/?m=1

Behtareen Biwi aur Behtareen Shohar ki Pehchan 
Behtareen Biwi aur Behtareen Shohar ki Pehchan karne ke liye hume islamic knowledge lena behad zaruri hai. Shohar (husband)aur bivi (wife) ke huqooq islam me bhot zada hai shohar ke haq apni jagha alg hai or bivi ke haq alg hai!bhatre bivi wo hai jo apne sohar ka kha mane.

            Behtareen Biwi Ki Pehchan

• Jo Apne Shohar ki farmabardari aur khidmat guzari ko apna farz-e-azeem samjhe.
• Jo Apne Shohar ke tamam huqooq ada karne me kotahi na karen.
• Jo Apne Shohar ki khubiyon per Nazar rakhe aur uss ke Aib aur Khamiyon ko nazar-andaz karti rahe.
• Jo Khud takleef utha kar Apne Shohar ko aaram pohchane ki humesha koshish karti rahe.
• Jo Apne Shohar se uski Aamdani se zyada ka mutaliba na kare aur jo mil jaye uspar Sabr-O-Shukr ke sath zindagi basar kare.
• Jo Apne Shohar ke siwa kisi Ajnabi Mard per nigah na dale na kisi ki nigah apne uper padhne de.
• Jo Parde me rahe aur Apne Shohar ki Izzat-O-Namoos ki hifazat kare.
• Jo Shohar ke Maal aur Makan-O-Saman aur khud Apni jaat ko Shohar ki amanat samajh ker har cheez ki hifazat-o-nigehbani karti rahe.
• Jo Apne Shohar ki Musibat me Apni Jani-O-Maali Qurbani ke sath wafadari ka saboot de.
• Jo Parhezgaari ki paband aur Deendaar ho, Huqooq Allah-O-Huqooq Ul Ibad ko ada karti ho.
• Jo Padosiyon(Aurto) aur milne julne waali Aurton yaani saas, nanand, sasurali rishtedar ke sath Khush Akhlaqi aur sharaft ka bartao kare.
• Jo Maika-O-Sasural dono Gharon me har dil Azeez aur Ba Izzat ho.

        Behtareen Shohar ki Pehchan

• Jo Apni Biwi ke sath narmi, khush khalqi aur husne sulook ke sath pesh aaye.
• Jo Apni Biwi ke Huqooq ada karne me kisi qism ki gaflat aur kotahi na kare.
• Jo Apni Biwi ka iss tarah ho ker rahen ke kisi ajnabi aurat per nigah na dale.
• Jo Apni Biwi ko apne Aish-O-Ishrat me barabar samjhe.
• Jo Apni Biwi per kabhi Zulm aur kisi Qism ki bhi Jyadati na kare.
• Jo Apni Biwi ki tang mizaji aur bad akhlaqi per sabr kare.
• Jo Apni Biwi ki khubiyo per Nazar rakhe aur mamuli galatiyon ko nazar andaz kare.
• Jo Apni Biwi ki musibaton, bimariyon aur ranj-o-gam me diljoi aur wafadari ka saboot de.
• Jo Apni Biwi ko parde me rakh kar Izzat-o-Aabru ki hifazat kare.
• Jo Apni Biwi ko zillat-o-ruswayi se bachaye rakhe.
• Jo Apni Biwi ko Deendari ki takeed karta rahe aur shari’at ki raah per chalaye.
• Jo Apni Biwi ke akhrajaat(kharche) me bakhili aur kanjoosi na kare.
• Jo Apni Biwi per iss tarah taabey me (Control) rakhe ke wo kisi burai ki taraf rukh bhi

SHOHAR(HUSBANDke hukuk

Allah pak ne shoharon ko biwiyon per hakim banaya hai or bahut bade buzaragi dee hai is liye har aurat ka farz hai ke wo apne husbnd ka hukm mane or khushi khushi apne shohar ke har hukum ke tabedaree kare kyuke Allah Pak ne shohar ka bahut bada haq banaya hai yad rakho apne shohar ko razi or khush rakhna bahut badi ibadat hai or shohar ko na khush or naraz rakhna bahut bada gunha hai.

Mukhtalif Ahadess se ye baat maloom hoti hai ke husband ka haq bahut bada hai or har aurat per apne shohar ka haq ada karna farz hai. Husbnd ke Huqooq bahut zyada hen jin me se chand jo baht zyada Qabile lehaz hen wo ye hai…..
1- Allah ki nafarmani ke elawa aurat mard ki har baat me uski farmabardari kare
Allah ka irshaad hai:
fa-inna a-ta-nakum fa-la tab-ghu alai-hinna sabeela
Trjuma: “agar wah tumhara kaha maan le toh phir un par koi raasta na talaash karo”
Rasoollullah(sws) ka farmaan hai:
” jab mard apni aurat ko apne bistar par bulaaye aur wah na jaaye aur wah naraaz raat guzaar de to farishte us aurat par subah tak laanat karte rahte hain”
(Sahi Bukhari wa muslim)
Aur farmaya
” agar main kisi ko huqm karta ki wah kisi ko sajda kare to aurat ko hukm karta ki apne mard ko sazda kare”
(abu dawood, haakim, sahih tirmizi)
Aur Musnad Ahmed/Sunan Nasai me Anas r.z. anhu se marwi hai ke Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya, Kisi bhi bashar(insan) ko kisi dusre bashr ke samne sajdah karna sahih nahi hai,
aur agar kisi bashr ke samne sajdah karna sahih hota to mai aurat ko hukum deta ke apne qhawind ko sajdah kare kyunki qhawind ka biwi par azeem haq hai, is zaat ki qasam jis ke hath me meri jaan hai agar qawind ke qadm se is ke sar tak ek zaqhm ho aur us se peep/Pus aur khoon ras(nikal) raha ho aur biwi use aage badh kar chaat ley to bhi qawind ka haq adaa nahi kar sakti.
{Musnad Ahmed & Sunan Nasari , Sahi By Shaik Albani Sahih al Jami No.7725
2- shauhar ke maal wa daulat, izzat wa aabru aur ghar ke saare maamle me uski hifazat karda bane
aur rasoollullah (sws) ne farmaya hai
” aurat apne shauhar ke ghar aur uski awlaad ki rakhwali hai”
(Sahi Bukhari wa muslim)
3- shawhar ke ghar me rahe, uski izazat wa marzi Ke bina baahar na nikle, apni nazar neechi rakhe , unchi aawaz se baat na kare, buraayi se apne haath roke aur zabaan ko gandi baaton se bachaaye, rishte daaron ke saath ehsaan me wahi mamla rakhe jo uska shauhar ikhteyaar kiye hue hai, isliye ki jo aurat mard ke maa baap aur qarabat daaron ke saath acchi nahi hai wah shauhar ke liye acchi kahan hui??
Allah ka irshaad hai:
wa-qarna fi-buyu-tikunna wa-la tabar-rajna tabar-ruja al-jahiliyati al-oola
“aur apne gharon me thahri raho aur jahiliyat ki tarah baanao singaar na karna”
aur farmaya
fa-la takh-zaa-na bi-al-qauli fayat-ma-aa al-lazi fi-qal-bihi mara-zun
” aur baton me narmi na karna jiske dil me bimari hai wah lalak karega”
aur farmaya
“aur momina aurton se kahiye ki apni aankhe jhuka kar rakhen aur apni sharmgaahon ki hifazat karen aur apni singaar ka dikhaawa na karen, ya yah ki jo khud se zaahir ho jaaye”
aur rasoollullah S.A.W ne Farmaya
” acchi auraton me wah aurat hai jab usko dekhe to tujhe khush kare, use hukam kare to poora kare aur jab usse ghayab ho to apne nafs aur tere maal ki hifazat kare”
(tabrani wa sanad sahih)
aur farmaya
” allah ki bandiyon ko masjid se na roko agar kisi ki aurat usse masjid jaane ki izaazat talab kare to mana na kare”
(Sahi muslim wa Musnad ahmad)
” aurton ko raat ke waqt masjidon me jaane ki izazat de do”
(sahi muslim, abu dawood, ahmad, tirmizi).
“Jis Aurat ki Mouth(Death) is halat me aye ke martey waqt us ka shohar is se khush ho to wo janat me jayegee”(sunnan abe majah, kitabul nikah 44 )
BIWI(WIFE) KE HUQOOQ
1- Bhale tareeqe ke saath aurat se nibaah kare jaisa ki allah ne huqm diya
wa-aa-siru-hunna bil-maaroof
” aur un(aurton) ke saath dastoor ke mutabik nibaah kiya karo”
yani jab khana khaaye use khilaaye, kapda pahne to use pahnaaye, uski nafarmani ka khatra mahsoos kare to allah ke huqm ke mutabik samjhaaye, agar kaha maan le to theek hai warna bistar ki judaai akhtiyaar kare, agar is chot se theek ho jaaye to theek warna Mamooli chot aur chetawni(warning) de aur uska khoon na bahaaye aur na maar kutaayi karke use zakhmi kare aur nahi uske jism ka koi hissa tode
rasoollullah(sws) Se ek shakhs ne poocha biwi ke shauhar par kya huqooq hain? Aap ne farmaya:
” jab khana khaaye to use khila, libaas pahne use pahna, uske muh par na maar aur bura na kah aur baatcheet tark kare to shirf ghar ki hadd tak”
(Abu dawood)
2- biwi ko zaroori deen ke ahkaam sikaayen agar wah nahi jaanti ya use izazat de ki wah majalis ilm me shareek ho aur ilm haasil kare isliye ki aurat ko apne deen aur ruh ki islaah ki usse zyada zaroorat hai jitni use khaane aur peene ki zaroorat hai, allah farmata hai
ya-ai-yuhal-lazeena aa-manu quwa-anfusakum wa-ah-liyakum naaran
“aiy emaan walon! Apne aapko aur ghar walon ko aag se bachaao”
aur isliye bhi ki rasoollullah (sws) ne farmaya:
“suno! Aurton ke baare me acchi nasihat kubool karo wah Tumhare paas paband ho chuki hain”
(Sahi bukhari, wa muslim)
allah ka irshaad hai
al-rijaalu qawa-moona ala an-nisa
” mard aurton par zimme daar hai”
aur rasoollullah ne farmaya:
” mard apne ghar par jimmedar hain aur unki jimmedari ke baare me unse poocha jaayega”
(Sahi Bukhari, muslim)
agar do ya do se zyada biwiyan hain to unke beech insaaf kare..
Allah ka irshad hai
fa-inna khifa-tum al-la ta-dilu fa-wa-hida tan aw-wama malakat ay-ma-nukum
” agar tumhe khatra hai ki insaaf na kar sakoge to ek hi se nikaah karo ya jo tumhari milkiyat me hai”
apni biwi ka koi raaz na khole aur na hi uske aib ko khole isliye ki wah uska ameen hai aur uski hifazat aur bachaao ka use huqm diya gaya hai
nabi hi muslim)  
                 Behtareen Biwi Koun
• Jo apne shohar ki farmanbardari aur khidmatguzari ko apna farz mansabi samjhe.
• Jo apne shohar ke tamam huqooq ada karne me ko’tahi na karen.
• Jo apne shohar ki khubiyon per nazar rakhe aur us k uyoob aur khamiyon ko nazar andaz karti rahe.
• Jo khud takleef utha kar apne shohar ko aaram pohchane ki hamesha koshish karti rahe.
• Jo apne shohar se us ki aamdani se zyada ka mutaliba na kare aur jo mil jaye us per sabr o shukr k sath zindagi basar kare.
• Jo apne shohar k siwa kisi ajnabi mard per nigah na dale na kisi ki nigah apne oopher padhne de.
• Jo parde me rahe aur apne shohar ki izzat o namoos ki hifazat kare.
• Jo shohar k maal aur makan o saman aur khud apni zaat ko shohar ki amant samajh kr har cheez ki hifazat o nigehbani karti rahe.
• Jo apne shohar ki musibat me apni jani o mali qurbani k sath wafadari ka saboot de.
• Jo mazhab ki pabnd aur deendar ho huqooq Allah o huqooq ul ibad ko ada karti ho.
• Jo padosiyon aur milne julne wali aourton yani saas nanand sasurali rishtedar k sath khush akhlaqi aur sharaft ka bartao kare.
• Jo maika o sasural dono gharon me har dil azeez aur ba izzat ho.

https://islamicnelofarazhari.blogspot.com/?m=1
                Behtareen Shohar Koun
• Jo apni biwi ke sath narmi, khush khalqi aur husne sulook k sath paish aaye.
• Jo apni biwi ke huqooq ada karne me kisi qismki gaflat aur kotahi na kare.
• Jo apni biwi ka is tarah ho kar rahen ke kisi ajnabi aourat per nigah na dale.
• Jo apni biwi ko apne aish o ishrat me bara brsamjhe.
• Jo apni biwi per kabhi zulm aur kisi qism ki be ja zyadati na kare.
• Jo apni biwi ki tand mizaji aur bad akhlaqi per sabr kare.
• Jo apni biwi ki khubiyo per nazar rakhe aur mamuli galatiyon ko nazar andaz kare.
• Jo apni biwi ki musibaton bimariyon aur ranj o gam me dil joi timardari aur wafadari ka saboot de.
• Jo apni biwi ko parde me rakh kar izzat o aabru ki hifazat kare.
• Jo apni biwi ko zillat o ruswai se bachaye rakhe.
• Jo apni biwi ko deendari ki takeed karta raheaur shari’at ki raah per chalaye.
• Jo apni biwi k akhrajaat me bakhili aur kanjoosi na kare.
• Jo apni biwi per is tarah control rakhe k wo kisi burai ki taraf rukh bhi na kar sake.

अगर ये पोस्ट आपको पसंद आए तो प्लीज इस पोस्ट को लाइक शेयर एंड सब्सक्राइब कीजिए अल्लाह हाफिज दुआ में याद रखिएगा

इस्लामिक नीलोफर अजहरी

1 comment: